Alba s touto skladbou:
Live In India,
Intoxicated Spirit,
The Day, The Night, The Dawn, The Dusk,
Ye jo halka halka suroor hai
Ye jo halka halka suroor hai
Yeh teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Ye jo halka halka suroor hai
Ye teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Tere pyaar ne teri chaah ne
Teri behki behki nigaah ne
Mujhe ek sharaabi bana diya
Sharaab kaisi, Khumaar kaisa
Yeh sab tumhari nawazishen hain
Pilayi hai kiss nazar se tu ne
Keh mujh ko apni khabar nahin hai
Tere pyaar ne teri chah ne Teri behki behki nigaah ne mujhe sharabi bana diya....
Sara jahan mast Jahan ka nizam mast
Sara jahan mast Jahan ka nizam mast
Khum mast sheesha mast subbu mast jaam mast
Khum mast sheesha mast subbu mast jaam mast
Din mast raat mast Sahr mast shaam mast
Din mast raat mast Sahr mast shaam mast
Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai
Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai
woh bhi thori si..
woh bhi thori si jo in aankhon ke paimaanay mein hai
Sab samajhta hoon teri ishvaagari ai saki
Kaam karti hai nazar, naam hai paimaanay ka
Teri behki behki...
Tera piyaar hai meri zindagi
Bus meri zindagi tera pyaar hai
BUs meri zindagi tera pyaar hai
Na namaaz aati hai mujh ko na wuzu aata hai
Sajda kar leta hoon jab saamnay tu aata hai
Bus meri zindagi...
Tera pyaar hai meri zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo teri khushi woh meri khushi
Jo teri khushi woh meri khushi
Ye mere junoon ka hai mojza
Ye mere junoon ka hai mojza
Jahan apne sar ko jhuka diya
Wahan mein ne kaaba bana diya
Mere baad kiss ko sataao ge
Mere baad kiss ko sataao ge
Mein ne un ke saamne awwal-to-khanjar rakh diya
Phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya
aur arzs kya mere bad kisko sataao ge
Mujhe kis tarha se mitaao ge
Kahan ja ke teeri chalaao ge
Meri doosti ki balaayen lo
Mujhe haath utha kar duaaein do
Tumhein ek kaatil bana diya
Ye jo halka halka suroor hai
Yeh teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Koi deewana kehata hai koi pagal samjhta hai
magar dharti ki bechaini ko bus badal samajhta hai
Tu mujh se dur kaisi hai main tujh se dur ksisa hun
ye tera dil samjhta hai ya mera dil samjhta hai
Ye jo halka halka suroor hai
Yeh teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya