Alba s touto skladbou:
Intoxicated Spirit,
(Fallen in love with a treacherous one)
udasiyan saath jo na latey to aur kya kerte
na jashn-e-shola manaate to aur kya kerte
a ndhera mangne aaya tha roshni ki bheek
hum apna ghar na jalaate tou aur kya kerte
mein ne masoom baharon mein tumhein dekha hai
in haseen raah-guzaaron mein tumhein dekha hai
mere mehboob teri parda-nashini ki qasam
mein ne ashkon ki qataron mein tumhein dekha hai
jab bhi rudaad-e-gham sunate hein
ashq palkon pe muskurate hein
jin ki khaatir luta diya sub kuch
wohi mera nishaan mita'te hein
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
qismat mein naumeedi-o-hasrat hai! kya karoon?
us bewafa se mujh ko mohabbat hai! kya karoon?
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
yaqeen e ishq to dekho ke us ke wadoon per
faraib khaye bohot phir bhi aitebar kiya... Acha
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
mein jiss ke aik isharay pe jaan waar aaya
usay na meri mohabbat ka aitebar aaya... Acha
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
mein ker raha tha faqt tajurba mohabbat ka
ub aise aag lagi hai bujha nahi sakta
yeh maanta hoon ke mein tujh ko paa nahi satka
tera khayal magar dil se ja nahi sakta... Acha
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
zulf rukh se hata ke baat karo
raat ko din banaa ke baat karo
yeh bhi andaaz-e-guftugu hai koi
jab bhi karo dil dukha ke baat karo... Acha
beewafa se bhi pyaar hota hai (Vocables and Chants)
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
beewafa se bhi pyaar hota hai
her aik baat pe kehte ho tum ke tu kya hai
tumhe batao yeh andaz-e-guftugu kya hai
bewafa se bhi pyaar hota hai
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
Raag...
na sahay teri naseehat mere kiss kaam aaye hai
naik o bad sujat nahi jab dil kaheen lag gaye hai... kiyoon ke
yaar kuch bhi ho yaar hota hai (Vocables and Chants)
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
hazrat e nah se jo aaye deeda-o-dil farsh-e-raah
yeh to samjhao koi woh aake samjhaein ge kya... kiyoon ke
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
marne walay to apni jaan se kahein
yaar ki bewafaiyan na gayeen
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
yaar kuch bhi ho yaar hota hai
kya howa un ke saath gar hai raqeeb
phool ke saath khaar hota hai
phool ke saath khaar hota hai
phool ke saath khaar hota hai
phool ke saath khaar hota hai
phool ke saath khaar hota hai
jab woh aate nahi shab e waada
maut ka intizaar hota hai (Vocables and Chants)
ishq pe zindagi ka ey Purnam
sara daromadaar hota hai
bewafa se bhi pyaar hota hai
bewafa se bhi pyaar hota hai... Aaa!